Skip to main content

Posts

Showing posts from July, 2014

Kya Mera Aana Zaruri Hai...!

Kya mera aana zaroori hai ! Tumhari shaadi main gaana zaroori hai !! Main janta hoon ki acha gaata hoon main ! Par kya uski saza pana zaroori hai !! Jo pal humne saath bitaye hase-khele, naache gayee ! Unka hisaab chukana zaroori hai !! Woh din sone ke they chandi ki thee raate ! Kya yaad dilana zaroori hai !! Mere dilo-dimaag par chayee thee sirf tum ! Kya batana zaroori hai !! Main tumhe ab bhi aas-paas mehsoos kar sakta hoon ! Kya ahsas dilana zaroori hai !! Til-til karke mar raha hoon main ! Kya jagmagana zaroori hai !! Main janta hoon ki tum bhi mujhe chahti ho ! Kya jatana zaroori hai !! Aaj shaadi hai tumhari.... Kya mera aana zaroori hai ! Tumhari shaadi main gaana zaroori hai !!