Skip to main content

Posts

Showing posts from October, 2011

Ghalib Khada Bazaar Mein!!

Ghalib khada bazar mein liye hath mein 4 kanchiyan, dhoondh raha sathi jo khel sake sath vo kanchiayn. Pehli awaz Nida fazli ko lagai to jawab aaya "busy hu! Mushayra hai." Doosri awaz Javed Akhtar ko lagai to jawab dene unki Beghum aayi. Jhunjhla ke teesri awaz Munnawar Rana ko lagai to na palat ke jawab aaya na di gai koi safai. Thak kar miyan ghalib ne ek thaki awaz Gulzar ko lagai to jawab aaya "likhne mein masroof hu bhai." Pareshan hokar ghalib chal diye wapas apni kabr mein ye kehte hue "maine bekar hi itni hai-tauba machai, aaj jab kanchiayn khelna chaha to puri jamat hi na aayi."