Skip to main content

Posts

Showing posts from January, 2013

Mehsoos

Kahi koi gir jaye, mar jaye, darr jaye, pada pada sadd jaye kuch mehsoos nahi hota. Chot kya hoti hai, dard kya hota hai, siskari kya hoti hai, apni to yaad hai par teri nahi. Apni ladai sirf ek din ki hai, Uthne se sone tak mehfooz rehne ki, Neend hi gala daba de....to???? Kano ko razai ne dhank rakha hai, rooh ko maine kas ke pakad rakha hai, kuch mehsoos karke to dikhaye. Arsa pehle mehsoos hua tha, Main bhi India gate pe khada tha, Jalaye khoob diye, hath bhi khub hilaye. Bheed ka hissa tha, bhoolna hi tha.... kissa tha. Tab se tauba kar li, Duniya apni alag kar li. Din bhar suraj se baten karne ko taras jata hu, subah ko zinda office jata hu, shaam ko lash ban ke ghar aata hu. Sunta hu, dekhta hu, idhar udhar khud ko phenkta hu, Par mehsoos ko mehsoos nahi kar pata hu. Masumiyat ka qatl hua tab main khamosh raha, Insaniyat ke qatl pe muh kyu kholu? Insan hu ye kam mera thode na hai. Jinhe padi hai khud karenge, jhonkenge apne aapko, apne taap ko,