Kya mera aana zaroori hai !  Tumhari shaadi main gaana zaroori hai !!   Main janta hoon ki acha gaata hoon main !  Par kya uski saza pana zaroori hai !!   Jo pal humne saath bitaye hase-khele, naache gayee !  Unka hisaab chukana zaroori hai !!   Woh din sone ke they chandi ki thee raate !  Kya yaad dilana zaroori hai !!   Mere dilo-dimaag par chayee thee sirf tum !  Kya batana zaroori hai !!   Main tumhe ab bhi aas-paas mehsoos kar sakta hoon !  Kya ahsas dilana zaroori hai !!   Til-til karke mar raha hoon main !  Kya jagmagana zaroori hai !!   Main janta hoon ki tum bhi mujhe chahti ho !  Kya jatana zaroori hai !!   Aaj shaadi hai tumhari....   Kya mera aana zaroori hai !  Tumhari shaadi main gaana zaroori hai !!   
Fitoor....jo kagaz pe utar aata hai...