Skip to main content

Posts

Showing posts from 2013

Bechaini

Kagaz ke maidaan pe har harf phansa hua haanf raha hai, cheekh raha hai, kaanp raha hai. Magar ye khudgarz kalam, rukna jaise janti hi nahi, likhti hi ja rahi hai, likhti hi ja rahi hai!! Kitne kagaz mude pade hai, idhar gire hai udhar gire hai, sannatta jaise jhank raha hai. Kagaz ki mutthi mein qaid lafz kuch bolte hi nahi, muh kholte hi nahi, muh kholte hi nahi!! Ye kaun bechain hai jo apni bechaini ko kaat raha hai, kyu manhoosiyat ko baant raha hai. Lal bulb ki madham roshani mein ye nange harf, meri ore badhe chale aa rahe hai, bass aa rahe hai!! Main kehta hu, ya to iske hath kaat do, ya iski kalam ke, warna qatle aam mach jayega. Zehan mein chap jayegi yadein, chah kar bhi kuch mit na payega, mit na payega....!!

Mehsoos

Kahi koi gir jaye, mar jaye, darr jaye, pada pada sadd jaye kuch mehsoos nahi hota. Chot kya hoti hai, dard kya hota hai, siskari kya hoti hai, apni to yaad hai par teri nahi. Apni ladai sirf ek din ki hai, Uthne se sone tak mehfooz rehne ki, Neend hi gala daba de....to???? Kano ko razai ne dhank rakha hai, rooh ko maine kas ke pakad rakha hai, kuch mehsoos karke to dikhaye. Arsa pehle mehsoos hua tha, Main bhi India gate pe khada tha, Jalaye khoob diye, hath bhi khub hilaye. Bheed ka hissa tha, bhoolna hi tha.... kissa tha. Tab se tauba kar li, Duniya apni alag kar li. Din bhar suraj se baten karne ko taras jata hu, subah ko zinda office jata hu, shaam ko lash ban ke ghar aata hu. Sunta hu, dekhta hu, idhar udhar khud ko phenkta hu, Par mehsoos ko mehsoos nahi kar pata hu. Masumiyat ka qatl hua tab main khamosh raha, Insaniyat ke qatl pe muh kyu kholu? Insan hu ye kam mera thode na hai. Jinhe padi hai khud karenge, jhonkenge apne aapko, apne taap ko, ...